Wednesday, March 27, 2013

RAGGING-the destroyer


RAGGING ek aisa shabd jisse sabhi  parichit hoge,ek aisa shabd jisne vidhyarthi hone ke maayne hi badal diye aur iska samarthan karne wale bs iske naam par vidhyarthio ki arthi nikaalne me lage hain,ek aisa shabd jo napunsakta chhupane ka hathiyar maatr ban gaya hai aur ek aisa shabd jisse kai log khouf to khate hain lekin kuch din baad wahi log use apne kanishth pe bhi aajmaate hain..

Chahe Kolkata ki INDRANI ho ya fir shimla ke AMAN KACHROO aur aise hi na jane kitne anginat log hain jinhone ragging ke dansh ko na lewal saha hai balki unke parivaro ne bhi us jahar ko pia hai..
   
Yadi hum kanoon ki baat kare to RAGGING ek cognizable offence hai matlab ragging karne wale pe FIR karne ke liye police ko court se warrant ki jarurat nahi hoti hai lekin fir bhi colleges me inke official aur unofficial cases bade hi hain yaha tak ki records ke anusaar 2000 se ab tak lagbhag 100 ke kareeb vidhyarthio ko arthi pe pahuchane ka kaam bhi ragging naam ke “college cancer” ne kia hai.

Aaj desh ke lagbhag pratyek colleges me ragging pe ankush lagaane ke liye committees bani hui hain lekin fir bhi ragging ki shikayto me kami nahi aai hai shayad isliye kyunki adhiktar colleges ki committee me ragging ko samarthan karne wale log hi rahte hain,committees kabhi bhi apne kaaryo ki sameeksha karna bhi jaruri nahi samjhti aur yaha tak ki ragging ke shikaytkarta ki baat sunne ki jagah committees usse shikayat wapas lene aur ‘samjhauta’ karne ki salaah deti hai kyunki committee members bhi jaante hain ki UGC ke “anti ragging law” ke anusaar ragging ki shikayat sahi paye jane par college ki maanyata bhi khatm ki ja sakti hai.
Lekin yadi hum dusre paksh ki bhi baat kare to ragging karne ke liye ye tark dia jata hai ki isse kanishth sammaan karte hain aur wo kathin paristhitio me jeena seekhte hain,shayad ye tark ek hadd tak theek bhi lage lekin jis sammaan ko pane me aatma hi mar jaye,insaan shaitan tak ban jaye aise sammaan ko paakar hum kya karege???
Mujhe ye kahne me koi sharmindgi mehsoos nahi ho rahi hai ki hum jaise kuch log sirf apne shauk ke liye apne juniors ka is hadd tak shoshad kar dete hain ki wo us pal ko apne jeevan me kabhi nahi bhul pata aur is darr ko seniors sammaan kahte hain jo shayad 100 baar huye apmaan se bhi jyada bura hai aur ek badnuma daag ki tarah hai..
RAGGING karne walo ko kuch log "jaanwar" tak kahte hain lekin shayad humme aur jaanwaro me ek fark ye bhi hai ki hum apne shauk ke liye ragging ke naam par logo ka shoshad karte hain lekin jaanwar nahi kyunki jaanwar shauk nahi paalte hain aur na hi itne shaukeen hote hain ki apni species ko tadpaakar unhe maja aaye..
Aakhir me ek baat aur kahna chahunga ki sirf ragging lene wale ko hi doshi nahi samjha jana chahiye balki ragging dene walo ko baraabar ka doshi maana jana chahiye kyunki ragging peedit yadi pahli baar me hi iski shikayat kare to shayad bhavishya me hone wali yaatnaye use ya us jaise ki kisi aur ko na sahni pade aur yadi shikayatkarta khud bhavishya me ragging ke aarop me sahi paya jaye to uska college se registration cancel bhi hona chahiye.
RAGGING ko aaj koi bhi college kabool nahi karta hai lekin fir bhi wo jaanta hai ki usi college ke kisi kone me ek narak hai jaha nirdosh logo ko ragging ke naam par tadpaya ja raha hai,kai aatmao ko mara ja raha hai aur kai logo ko apni hi najar me giraaya ja raha hai aur us par ankush lagana bahut jaruri hai... 

Tuesday, March 19, 2013

SECULARISM-the duality

Samprdayik aur Dharm nirpeksh do aise shabd hain jisme aaj ki siyaasat uljhi hui lag rahi hai.Aaj har koi na chahte huye bhi khud ko Dharm nirpeksh saabit karne me laga hai,aap ye bologe to communal ban jaoge,ye nahi bologe to secularism ban jaoge,har jagah bas yahi tamaasha bana hua hai.
Lekin jara sochkar bataiye dharm nirpekshta ka matlab kya hai???
Humare desh ki rajneetik parties me ye tamaasha aksar dekhne ko milta hai,fir chahe wo nitish kumar ji ho ya mulayam singh yadav ya fir bahan mayawati,sabhi log swam ko dharm nirpeksh ghoshit kar bhi chuke hain lekin jara sochiye jis pradesh ka mukhiya ye kah de ki jo hume paise dega(special package ke roop me) hum uske bankar rahege,kya ye dogli maansikta nahi hai?kya aise log khud ko dharm nirpeksh kahlaanege ke laayak bhi hain?
Jo mukhya mantri ye kahe ki scholarship ya vishesh suvidha sirf ek samudaaye vishesh tak hi simit rahegi kya aap use dharm nirpeksh samjhege?
Desh ke netajan dharm nirpeksh to kya jaati nirpeksh bhi nahi hain shayad isliye kuch parties kuch jaati vishesh ke liye hi bani hain aur wo desh ko bhulakar sirf unhi ke liye samarpit hain.
Hindustan ke sanvidhaan me vishuddh roop se ye kaha gaya tha ki sabhi ko samaan adhikaar hain lekin aaj wo samaanta dikhaai kyun nahi deti hai?
Hindustan ke kaanoon ke hisaab se jis vyakti ke khilaaf desh ke kisi bhi police station me FIR darj ho wo vyakti sarkari naukri nahi kar sakta fir FIR me shatak tak pura karne wale kuch log sarkar me shaamil hote hain to ajeeb lagta hai ki aakhir is desh me kanoon bhi do bhaago me kyun bantaa hua hai?
Khair secularism ki naam par desh ke sabse bade dal ka naam aata hai CONGRESS aur uski alliance UPA.
UPA jo shayad khud ko abhi tak ka sabse saaf aur vishuddh dharm nirpeksh dal maanta hai shayad wo apne purane itihaas ko bhool gaya hai jaha par NEHRU JI ne kewal apni jid ke kaarad Hindustan aur Pakistan me narsanhaar tak karwa dia tha,INDIRA JI ki mrityu ke baad sikh virodhi dango ko bhi shayad ye dal bhool gaye hain.
Isi tarah in logo ko BABRI MASJID ka girna to yaad rah jaata hai jisme shayad kisi ki bhi mrityu nahi hui thi lekin badle swaroop kaaryawahi me kiye gaye BOMBAY BLAST ko ye dal kyun bhool jate hain jisme kai sau logo ki jaan chali gayi thi aur aaj bhi hum sirf 12 march ko uski barsi manaate hain lekin unke gunahgaaro ko saja nahi dila paye yaha tak ki hathiyar rakhne ke ek doshi ko mulayam ji apni party me ye kahkar shaamil karte hain ki 'kyunki inki maa muslim thi isliye inke sath itne julm huye'..shayad mulayam ji un logo ko is dauraan bhool gaye jinki maaye apne baccho ki maut pe aaj bhi ro rahi hain.
Secularism ki isi ladaai me sabse jyada jikr GODHRA RIOT ka aata hai lekin yadi jo netajan ye kahte hain ki godhra me muslim jyada prabhaavit huye the kyunki wo muslim bahul kshetra hai to fir ye log SABARMATI EXPRESS ke agni kaand ko kyun bhool jate hain jo godhra me hi hua tha aur jisme kai sadhu pujari mrityu shaiya me so gaye the.
Yasin malik jiski party ne J & K ki CM ki suputri ka apharan aatankio ko chhudane ke liye kia tha aaj wahi yasin malik bharat sarkar ka itna khaas kaise ban gaya,kabhi socha hai?
UPA dal hinduo ke param pujneey RAM JI ko supreme court me ek kaalpnik kirdaar siddh karne me lagi hai,RAM SETU ko todne ke liye pratibaddh hai lekin jab HUJ ki baat aati hai tab desh ki govt.unko subsidy tak dene me peeche nahi hat ti hai,fir bhi ye ek DHARM NIRPEKSH dal hai,kaise?jara sochiye..
Aaj ka yuva desh ki haalat pe aansu bahata najar aa jayega,netao ko kosta hua najar aa jayega,prakash jha ki RAJNEETI film pe apne dosto ke sath taaliya peet ta najar aa jayega lekin jab use rajneeti me aane ki salaah do to gaalia deta bhi najar aa jayega lekin us samay wo ye bhool jata hai jis rajneeti ko wo gaali de raha hai un rajneetikaro ko banane wala bhi wahi hai.
Rajneeti ko bura kahne wale shayad bhool baithe hain ki yahi rajneeti unke liye desh aur videsh me rahne ke liye niyam banati hai,yahi rajneeti ye paribhaashit karti hai ki aap dharm nirpeksh hain ya nahi aur yahi rajneeti aajaadi ke kai saalo baad bhi aapki aajaadi ki abhivyakti ko nirdeshit karti hai....