Wednesday, December 26, 2012

Black city DELHI-the city of heart


DELHI jise bahut se log 'dilwalo ka shahar' bhi kahte hain lekin me use hindustan ki raajdhani ke taur par hi jaanta hu..
Ek samay jis shahar par RAZIA SULTAN naam ki mahila ne raaj kia tha,aaj us shahar pe mahilao ka raaj nahi hai,ye to har koi maanta hai(jo nahi maanta wo dil se jarur jaanta hai)..
Kahne ko to abhi tak delhi me jyadaatar mahilaao ka hi bolbaala raha hai jaise ki INDIRA GANDHI,KIRAN BEDI,SHUSHMA SWARAJ,SHIELA DIXIT aur na jaane kitne hi naam hain jo mahila shashaktrikarad ki aur dikhai dete hain lekin ek kala sach ye bhi hai ki usi shahar aaj mahilaao kitni surakshit hain ye kisi se chhupa nahi hain..
loktaantrik desh ki is rajdhani me kitne kaanoon banaye jate hain lekin hakikat me sabse jyada kaanoon bhi isi shahar me tode jate hain.
Kahne ko to yaha shayad sabse jyada suraksha hoti hai lekin mujhe lagta hai ki wo saari suraksha ya to 10 janpath me rahti hai ya raisina ki pahaadio pe,baaki logo ke liye suraksha ka matlab apne astitva ko yaha bachaaye rakhna aur sakushal apna jeevan vyateet karne tak hi hai aur isse jyada wo ummeed bhi nahi karte tabhi to PRIYANKA GANDHI ke ghar me ek macchar dikhne par poora MCD ka amla is tarah us bechaare pe toot padta hai jaise koi gareeb aadmi in deewaro ke paar aa gaya ho lekin usi shahar me jab log dengue se mar rahe the tab koi inko dekhne wala bhi nahi tha,ye baat is dilwalo ke shahar  me ajib lagi..

kabhi jis shahar ko indraprastha kaha jata tha shayad aaj logo ne ise sach me indra devta ki nagri maan lia hai tabhi to yaha par mahilaao ko indra ki daasio aur apsaraao ki tarah naachne par majboor kar dia hai..
Jis shahar me hamare jan pratinidhi guarantee yojnaye banate hain,bade shaarm ki baat hai usi shahar me logo ke jinda rahne ki koi guarantee nahi hai fir bhi janaab ye dilwalo ka shahar hai..
1984 me ek neta ko goli maarne par isi dilwalo ke shahar me jaane kitne begunaah logo ko kewal unki pagdi dekhkar maar dia gaya tha,lekin fir bhi janaab ye dilwalo ka shahar hai..
jis shahar me yamuna bahti ho us shahar me peene ka paani bhi na ho lekin log uff tak nahi karte shayad isliye ise dilwalo ka shahar kahte hain..
kahne ko to is shahar ke baare me aur bhi baate hain lekin aakhir me bs yahi kahna chahta hu ki aaj bhale hi ise dilwalo ka shahar kahte hain lekin hakikat me to logo ka dil kalindi(yamuna) ke paani ki tarah kaala ho gaya hai,..

                                          shahar ke is mele me logo ko khote dekha hai,
                                          apne hote huye bhi paraayo ke sath jinda rahte dekha hai,
                                          kabhi thi jo razia ki muskuraati hui rajdhani,
                                          aaj usi rajdhani ko apne haalaat pe humne bhi rote dekha hai...
                                                                                                              by-self

No comments:

Post a Comment